Chalo baatein kare
Thursday, February 6, 2014
Naam
Delhi ki woh sard raat, jab dus meter bhi dekhna mushkil tha.
dhund jo hatne ka naam na le, aisa lag raha tha ki swarg ki taraf bika ka pahiya chal nikla.
Isi masti mein dheere dheere gaadi aage badti gayi..
par achanka jaise himalaya toot ke gir gaya ho... ek gaadi wale ne zor se meri bike ko takkar maari..
mein kuch samjatha usse pehle hi meri bike lad khadte hue giri aur main usi ke saath ghaseeta hua chala gaya
do pal ke liye jaise aankhon ke saamne andehra cha gaya..
kuch samaj nahi aa raha tha.. utha bhi nahi ja raha tha.
do chaar gaadi wale nikle paas se par kisi ne nahi roka..
girne ki wajah se phone bhi toot gaya tha.
ab main us sard raat mein apni tooti hui taang aur bike ko leke baitha tha..
jaise taise uthe ke side mein hua..
tabhi ek bujurg sa aadmi cycle se utra..
bola "Daaru pi rakhi thi kya"
maine kaha "Kisne"
fir woh bola "zameen pe tum geere ho nuksan tumhara hua hai... yeh naya khoon bhi na.. pata nahi kya samjhte hai apne aap ko"
maine dard mein karhate hue kaha "nahi uncle.. maine nahi pe.. woh gaadi wala takkar maar gaya"
tabhi unhone apni jeb se rumal nikala aur mere khoon ko saaf karne lage..
Woh bole "waise naam kya hai tumhara.. aur kahaan rehte ho"
maine kahan "Sameer .. yahan mehrauli rehta hoon.. paani milega peene ke liye"
Unke haat ruk gaye.. unhone rumal wahin phek diya. aur khade ho ke aankhein band ki..
Woh bole "Acha MUSALMAN ho..."
woh bole "panni.. Mera dharm brasht karega kya"
aur itna kehte hi unhone cycle mod li..
maine kahan uncle ek min... woh ruk gaye ..
"Majhab insan se badkar ho gaya hai aaj... kisi ki madad karne ke liye uska religion poochna hoga…Sukh dukh baatne ke liye apna dharm dekhna hoga… Maine toh nahi kaha thi ki mujhe hindu ya musalman banao"..
Musibat ya taklif mein madad karna toh aapki geeta main bhi leekha hai..
ramayan mein bhi sugreev ne mushkil mein ram ki madad ki thi..
Jab ram ne saburi ke jhoote ber kha liye, uski bhi togh jaat alag thi tab aap ne jai shri ram jai shri raam ke naare lagaye.
Bauji insaniyat ki puja karo.. bhagwan toh apne aap mil jayenge.
woh bole "Beta hum kitni bhi koshish kr le par yeh sab kabhi khatam nahi hoga"
maine kaha "Koshish toh karke dekho uncle.. kya pata aap ki koshish se 4 loh aur samaj jaaye.." Insaniyat ek virus hai.. dhere dhere fael hi jayega...
Cycle laga ke woh meri side baith gaye.. aur unhone PCR ko phone kiya..
chand minto mein PCR aa gayi..
Police waale ne mujhe Van mein baithaya... Tabhi bauji ne mera naam likhvaya toh police ne poocha pura naam kya hai..
maine bauji ki taraf dekhte hua kaha "Sameer.. Sameer Chaturvedi.. Mathura ke Chaube hai"
Bas yeh sun woh apni hassi rok na paye.. aur num aankhon se bole “Thank you”…
Subscribe to:
Posts (Atom)